Ab Intajaar Nahin Puraani cheeze aksar ubaaoo ho jaati hai ab tum bhi naye nahi rahe samaye. Main kaam karti hoo Kyonki karna hota hai Par parinaam ki Utsuktaa main Ab tumhaara Intjaar nahi rahaa samay. Har bhali cheeze Meri Har apni –see cheeze Tum hamesha se Samaittain rahain ho Apne bheetar. Kai baar Bahut kurur tum Lagtain ho samay. Tumhe ahe hoga Mujhe janam dene ka Tumhe rob hoga Mere pran lene ka Par yahhaan koi Roknewala nahi Mere pran tumhari Dhrohar hai. Jab chahon Saharsh le jaaon samay. Page 1 of 72 Stapoo kaa khel Stapoo ke khel main Aaj sheela Har baari jitati jaati hai. Jaroor romanchi khaa rahi hai. Kyaa karoo? Meri nazar toh Uski nayi neeli Chappal se nahi hatti. Kitanaa mulaayam Ekdam uske aap ki hai. Aaj main bhi Pitaji se kahoongi Ki mujhe bhi Nai chappal dila de. Cheh baar mochi ne Jod lagaa diye Par phir-phir Toot jaati hai. Dheemain se Ghar kaa darjwajaa Sarkaati hoo Dhekhati hoo Maa Pitaaji ke pair ke Talve ke Us hisey par Malham lagaa rahi hai Jo jutain main se bhi Yadaa-kadaa jhaank Jaataa hai. Unke jootain par toh Ab mocha bhi Jod nahin lagataa. Isee vijyee muskaan Ke saath Main houlay se darwajaa Page 2 of 72 Vaapas dhaap daiti hoo. Page 3 of 72 Mere Rang Chitr banaatain-banaatain Main hi Ud jaatain hai sab rang Chitr kabhi Poora nahin hota. Page 4 of 72 Itna Bhar Chukain Hon Itnaa bhar chukain hon bheetar Ki Tumhare door chaplain jaane ka Ahsaas saaltaa nahin. Tumhe yaad karne ke liye Koi chinh,koi chitr Nahin khojanaa padtaa. Tumhe dekh paati hoo Har jagah, har ghadi,har cheez main Shaayad tamaam brahmaan ke Har kan main tumhi vyaapat ho. Yaa phir ho samaa gaye Meri hi aankhon ki Kaali putliyon main. Oh,samjhi.... Isliye aansoo baahar nahin aatain Unhe bhay hai Ki kahin unke saath Tum bhi na beh niklon. Page 5 of 72 Angeethee kaa vrit Mere paas Vaysatataa hai Kuch na karne ki Angeethee ke Koyle ko Chimtaa Reh-reh kar Hilaa deta hai. Samay se Pahle hi Uski lalima Kam Hone lagi hai Angheethi Ke neechain Banaa varit bhi Thand se Thithoortaa lagta hai Mere kambal main bhi Ched Bahut hai Use Garmaane Ke liye Koi Dusraa upaaye Khojne Ki sochkar Main Aangan Se Bahaar Chali jaati hoo. Page 6 of 72 Cheraa tumhaaraa Har shan main Har pal main Khojaa hai tumhe. Bhool gayaa hai Chehra tumhaara. Phir bhi Dhoondh paaoongi tumhe Kyonki woh Tum hon,tum hon,tum hon. Page 7 of 72 saakshaatkaar bheerd ke shoron main lambain antraalon main ankahain hi rah gaye kuch prashan saashaatkaar... poora na huaa. Page 8 of 72 Aabaadi Aabaadiyon ke janglaon se Gujarati rahi jindgi Saamnaa huaa Jab jindgi se Vahaa sab thaa Bas aabaadi hi na thi. Page 9 of 72 Nanhi-si bahain Nanhi-si bahain Phelaayi kadhi thi kabse Tumhi ne aane main Kuch der kar di. Tum rahain vyasat Jin manjilon,jin raston main Vahi hitkar the tab. Ab tum aaye ho To satambh ninimesh Niharti hoo tumko. Dar hai ki Mera haath gati tumhaari Avroodh na kar de. Tej chalne ka Adhikaar hai tumhe Main samaksh Na bhi rah paoo Toh vihlataa kaisi? Vishwaas karon Meri drishti main vichran Karoge tumhi Tumhaare padchinh hongain jahaa Mere kadam uthengain vahi. Page 10 of 72 Kyooki Main Hoo Reh-rehkar Kuch prashan Uthaaye jaatain hai or mere asistav ko nakaar diyaa jaata hai korav-paandav maharanaa prataap jhaansi ki raani aaj bhi ladtain hai mere bheetar toh kyaa main jeeta- jaagataa itihaas nahin. Jab-jab Mere bheetar ke Radha-krishan Nikunjon main Ghoomatain hai Almost hokar, Jab-jab Seta hokar Main samaa jaati hoo Dharti main Toh lagta hai Ki Sahitya hai Kyoki main hoo. Vadijay-vyapaar Karon tum Saamaano ka Lekin mere Andar toh Bhavnay bhi Vyapaar Sahti hai. Tumhaare vigyaan Page 11 of 72 Se milee hogi Tumhe Gurutwakarshan shakti Or chand Ki mitti Lekin Main toh Jeeti hoon Inhi ki God main Peeti hoon Inhi se Jyoti. Page 12 of 72 Yeh toh shilpaa hai Him shrinkhlaon ke madhye Ghaati ke beech Oochalati-oofantee Jo bahti hai Weh satloojaa hai Kitni komal Kitni sheetal Jal lahri Kintoo Shakti aisee Ki chataanao ke mukh Kiye mohane hai. Satya hai, Yeh nahi saadhaaran Yeh toh shilpa hai. Page 13 of 72 Akhbaar main Jalnewali har aurat ki Khabar padkar mujhe lagta hai ki Uski aag ki Lapton ki tapeesh Pahooch rahi hai Mujhe tak bhi kahi. Har baar main Jhulas jaati hoo Par ilaaj nahi hota. Ghar main pade T.V ,fridge,scooter Ko dekhkar Man main yeh Bhaav nahin uthtaa ki Yeh sab mere liye hai. Aisa lagta hai ki main hoon kyoki yeh sab hai yaa phir jab tak yeh hai tab tak main hoon inke nasht hote hi aayenge do-teen Jodi haath meri baaju,meri garden mere baal kaskar pakde huye. Mera rom-rom Cheekh rahaa hoga Lekin har aawaz Nikaal Jayegi Vahshiyat ke upar se. Tabhi chalak jaayegaa Kuch leetar ghaaslete Sulag uthegi diyaasalai Or main... Main ji uthoogi Akhbaar ki kahabar banker. Page 14 of 72 Kuch jagheain Kuchh jagahain Jeevan main hoti hi hai Khaali rahnain ke liye Bharsak unhe bharne ke Pryaas main Unkaa khaalipan Or bhadne lagta hai Page 15 of 72 Udaan jaroori hai Kavita hamarain aaspaas Udti phirti hai Hum hi use Pakad nahi paatain. Jab pakad main aati hai Toh phir udnaa chaahti hai Is daal se us daal Is paar se us paar. Kyon udee phirti hai? Bandh kyon nahi jaati? Haan,udaan jaroori hai Jeevan ke liye Need ki umas Damghontoo hoti hai Dimaag ko jad karti. Navchetaa,nai taajgi Khule,neele,shubhr Aakaash main hi hai. Aakaash main hi hai. Aakaash ka khulaapan Apne bheetar sametkar Kavita jab lautati hai to kitni sajag kitni samajhdhar ho jaati hai isliye udaan jaroori hai sadaa jeevant or bandhkar rahne ke liye. Page 16 of 72 Piknik walee jagah Deelee kee sadak par Local bus kee yaatraa. Humne payaaDhool,dhooaa,imaartain Gandagee or garmee. Isee karm ke chalet Achaanak hi deekh padee Hare vrikshon kee Ek shrinkhlaa. Paas bethee Paanch varsh kee Meri nanhi-se bachee Chehki“mummy yeh Picnic vali jagah hai na”. Maine kahaan, “kyon beti Aisa kyaa hai yahaan? “kyonki mummy Ped to bas Picnicwali Jagah par hi hotain hain na?” Page 17 of 72 Maa ke darshan Varsha main bheegatain Tand se theethurtain Ab or na. Chadha jayagaa. Bijli bhi Gul hai Reh-reh Jalti taron ko dekh Rooh kaanp jaaati hai. Yahi tahratain hai Ardhkwari ki Dharamshaalaa main. Kambal toh Ab koi Bacha nahin. Yoh hi Ghustain hai Dharamshaala ke bheetar Paani main bheega Ek –ek vastra Bajtain daant Tand se sujain Haath-paav Garaj-garaj Barashtian meghAaj koi Jeevan bachaa le. Adhiyaar dharmshaala main Sab dubakain hai Apne-apne geele Kambalon main Naye jo aaye hai Marnaa nahin chaahtain. Par aaj Na koi kambal hai Na letane ko sthaan. Kapdo se bahtain Paani ke saath hi Page 18 of 72 Ghoos jaatain hain Dusron ke Kambalon main. Pahlewala Virodh nahin kartaa Kar nahi sakataa, Is tandi main Mooh nahi khoolatain Hilane se jaraa-se mil rahi Garmahat ke bhi Chin jaane ka Bhay hai. Doosare Shaayad... Isee ke sharer ki Garmi se Kuch raahat mil jaaye. Sab jeena chaahtain hai Ghoosatain jaatain hai Anjaano ke Kambalon main. Shoord ke paas soye Braahman kaa aaj Dharm nahin brasht hoga. Sardaar ke paas soye Muslmaan ko Dekho kitni raahat Milati hai. Angrej aaj Greehnaa nahi karengain Bhaartiyo se.... Koi amir Shoshad nahi kar rahaa Gareeb ka, Gareeb bhi koi Nahin haath baandhain Kadaa hai. Stree ke kambal main Ghoosa hooaa Page 19 of 72 Pooroosh bhee Aaj us par Kudurshti Nahin dalegaa. Aaj bhookh bhi nahi Pyaas bhi nahin. Ek dhraa par, Ek star par Sabhi kaa Samaan sangharsh Praano ki raksha. Maa ke aaj Darshan... Huye hai sache. Ham sabhi hai Ek samaan Bache uske. Ek hi praan Ek hi vaayu Ek hi ichhaa se bandhain. Page 20 of 72 Kyaa main hansaa karoo Ab main Subah Jaldi nahi uthti Pitaaji. Ab koi nahin hai Jo mere haath ki Ek payaala Chaaye peekar Swayam main safoorti paataa hai. Ab meri subah Vaise hi Saarthak nahin hoti. Aapki chaay dekar Kuchh gantain Lihaaf main bethkar Padi huye kitaabain hi Meri apni thi. Ab sab Arthheen lagtaa hai Yeh soobah,yeh chaaye, yeh kitaabain. Meri uplabhdiyon par Ab koi khush nahin hota. Ab koi nahin haiJise apni khushi Sunaatain- sunaatain Main ro padu. Aap hameshaa Hasne ke liye Kahaan karte the Par main ab Hasti bhi nahin pitaaji. Meri hansi se Sab grihnaa karte hai. Itni grihnao ke Beech bhi Kyaa main Hasaan karoo, Page 21 of 72 Pitaaji? Page 22 of 72 Aahooti Hajaaron meel Door baithain Jo tum Havan karte ho Us havan Ki sugandh Or Pavitrtaa ki Dhaara Seedhee Meri Aatmaa tak Utarti hai Or meri Aatmaa ke Bheetar Pravchalit Kar deti hai Ek Laghu hawan Ki agni. Yeh agni Bahut sheetal Tathaa shaant hai. Yahi Sheetal agni Dhaara Banker Bahti jaati hai Tumhaare hawan tak Or shaant chit Aahuti Ho jaati hai. Page 23 of 72 Shikhar Se Manjil Tak Pyramid ke Jis bindoo par Aakaar Rooki hoo Vahaan Moh prlobhano Ki chadhai Poori hoti hai. Ab Vaapsi ki Tayaaree hai. Jis maarg se aayee Vahaan vahi Moh prlobhano ki Phislan hai. Doosri raah Apnaati hoo Shaayad vahi Shanty-santosh Se Mujhe Meri Manjil se Milvaaye. Page 24 of 72 Tasveer Ke Haar Maa Kuchh tasveerain Diwaron par Yoh hi tangi rahti hai Par koi unhe Haar nahin pahnata. Kabhi kabhi Deewar par Koi tasveer nahi hoti Par ek din achanak Vahan koi Tasveer aa jaati hai Or haar ki bhi Shobha pati hai. Yaa Jo tasveer pahle se hai Usi par koi mala Pahna di jati hai. Aisa kyo hota hai maa? Kyaa haar daalkar Hum yeh ghoshnaa Kar dena chahte hai Ki phlaa aadmi mar gayaa? Ya phir jeetain-ji Kbhi jisko sammaan Na diya ho Marne ke pashchaat Achaanak hi apnaa Aadar dikhane lagtain hai? Ya phir tasveer par Kuch phool taangkar Kabhi-kabhaar baati dikhakar Hum ekatr karna chahte hai Kuch samvednaye Jo ki kabhi vaastvik Nahi hoti. Tumhi batao maa Aisa kyaa ho gaya Jo tum taang di gayee Page 25 of 72 Ek tasveer hokar Jo tum mardh di gayee Ek chokhatain ke bheetar? Is tasveeer par Jhool rahain phool maa Kyaa tumhaare astitve ki Udghoshanaa karte hai? Kyaa tum sachmuch Nahi rahi maa? Yadi tum nahi ho Toh mera yeh jeevan Kaise hai maa? Nahi maa,nahi Mere paas saanse hai Kyonki tum ho Mere paas gati hai Kyonki tum ho Mere paas aashaaye hai, Ichhaaye hai,aakaanshaye hai Kuchh sukh hai,kuchh dukh hai Kuchh sapne hai,kuchh sanskaar hai Yeh sab isliye hai maa Kyoki tum ho. Tum ho mere bheetar Tum ho meri har shira main Tum ho mere karn-karn main Phir kisne kahaan Ki tum mar chooki? Par agar tum Meri nahi maa Toh kyonkar tang gayee Tasveer banker? Meri dhamniyon ke bheetar Bahne wali maa Kyo tumne taang liya haar Apni tasveer ke oopar? Page 26 of 72 Jindgi Moothi bhar Saanson main Talaashtain rahain Chutki bhar si Jindgi Veh bhi Bhatakti rahti hai Raashan ki Laino se Desoo ke raaston tak Laisance ki Dukaano se Rajneeti ke vitandao tak Jab thamegi Tab pakadkar Poochhengain Kahon,kaisi ho jindgi? Page 27 of 72 Shesh Se Vishesh Shesh se vishesh Hone ke karm main Jin dehleejon ko Laanghtain rahe Ve nishshesh hi Karti rahi Laghu komaltao ko. Maanvtaa Lahooloohaan hoti rahi. Page 28 of 72 Mera Jameen Mera hi jameen Geeli thee Is liye Tumhaare Pair ke nishaan ko Bheetar Dhasti chali gayee. Mere nanhe paav Shaayad Mitti ke Kaabil Na the Isliye kadam uthaane tak Tumne Dharti sarkaa li. Page 29 of 72 Tees Ek Koundh ki tarhe Bheetar se Kuchh Bantain Umardti hai Saamaajik viveshtaaye Unhain Abhivaykt Nahi hone deti. Bheetar hi bheetar Tap-tapkar Vey kuchh Pakne Lagti hai Pak-pakkar Jo roop Dhaaran Karti hai Uskaa aakaar Bahut Simtaa Hota hai Phir veh Sthaapit Ho jaata hai Theek Hridayaa ke beechon beech Or Ubhartaa hai Kewal Tees banker. Page 30 of 72 Phislan Tumhaare chhune se Kitni halchal Ho gayee hai Sansmarno main. Har vednaa Samvedit main. Har vedna Samvedit hona Chaahti hai. Har haasya aatur hai Bikharne ko. Sansamran chooi-mooi Toh hotaa nahin Phir kyon Bhay hotaa hai Us duniya main Jaane se? Shaayad vahaan Phislan bahut hai Use se Man dartaa hai Par phislan bhi Aavashyak hai Uske binaa Tiknaa kahaan Hota hai? Page 31 of 72 Tumhaare Shabad Sahmain mukh ke Prakampit swar main Geelain Tumhaare kuch Shabd jo akaant main Kahin Bahaan diye the tumne Maine Sahej rakhaa hai unhe Apni saanson ki tarhe Kabhi garaj padain Toh maang lenaa. Page 32 of 72 Jabki Tum Pratyaksh Ho Tumhain dekh bhar lene ki Chaah main Barso jagi hai yeh aankhain Ab jabki tum pratyaksh ho Kyo reh-reh jhoonki Jaati hai aankhain. Bahut tarse hai kaan yeh Swar tumhaaraa sunne ko Ab jabki tum kuch keh rahain ho Kyon bheetar man main hi Dhasi jaati hai aawaajain. Vikal bhoojaaye Niraalamb rahi nirantar Ab jabki avlamb hai To kyon Shithil huyee jaati hai baahain. Ungaliyaa khojati rahi Jis saparsh ko Saamne use paakar bhee Kyon todti hai ghaanse. Seena sulagtaa rahaan Aanch jiski paane ko Kyon us aanch se Pighli jaati hai saansain. Page 33 of 72 Meri jameen Meri hi jameen Geeli thi Isliye Tumhaare Pair ke nishaan ko Bheetar Dhasaati chalee gayee. Mere nanhe paaw Shaayad Mittee ke Kaabil Na the Isliye Kadam oothaane tak Tumne Dharti sarkaa lee. Page 34 of 72 Kabhi-Kabhi Kabhi-kabhi Sochati hoon ki Tumhe bataaoo Ki main tumse Kitnaa Pyaar karti hoon Lekin Kaise bataaoo Kuch maapak-yanta Hi nahin milte. Agar sambhav hota. Toh tumhaare viyog Mai jo aansoo Bahaati hoo Unhe kisi Bakes main Kisi bank main Sahej rakhati. Yaa phir Kisi Pryogshaalaa se Unki satyataa Ki hi jaanch Karvaa deti. Main Yeh bhi Keh sakti hoon ki Tumhaare binaa Man rota hai Sab udaas-udaas Shoonymay Lagta hai. Lekin yeh Vigyaan toh Man ke Astitve ko hi Nahi swikaartaa Phir man ki kyaa kahoon? Ek abhivyakti Page 35 of 72 Yeh bhi hai ki Tumhe devtaa kahoon Or kahoon ki Main tumhaari Aaraadhanaa karti hoon Ismain bhi Darti hoon Devtaa hokar Kahin tum mujhse Door na ho jaao. Par dar hataakar Tumhe Roop-aakaar Denaa chaahti hoon. Tumhe raam kahoon...? Phir tumhe Raavan se ladna hogaa Mere liye.... Dhobi tak gheregaa tumhe. Dhobiyon se Tumhe Ghirvaana nahi chaahti Achaa hoga ki Tumhe Raam hi na kahoon. Tab kyaa Krishan kahoon....? Krishan hokar Kans ke dushchakra main apni gwaalin ko Page 36 of 72 Tees Ek Kaandh ki tarah Bheetar se Kuchh Baatain Umarti hai Saamaajik vivashtaaye Unhe Abhivyakt Nahi hone deti. Bheetar hi bheetar Tap-tapkar Ve kuchh Pakne Lagati hai Pak-pakkar Jo roop Dhaaran Karti hai Uskaa aakaar Bahut Simtaa Hota hai Phir veh Sthaapit Ho jaata hai Theek Hrydya ke beechobeech Or Ubhartaa hai Kewal Tees banker. Page 37 of 72 Phislan Tumhare chhoone se Kitni halchal Ho gayee hai Sasmarnao main. Har vedna Samvedit hona Chaahti hai. Har haasya aatur hai Bikharne ko. Sasmaran chooi- mooi Toh hota nahi Phir kyon Bhay hota hai Us duniya main Jaane se? Page 38 of 72 Tumhaare shabad Sahme mooch ke Prakmpit swar main Geelain Tumhare kuchh Shabad jo ekaant main Kahi Bahaa diye the tumne Maine Sahej rakha hai unhe Apni saanson ki tarah Kabhi garaj pade Toh maang lenaa. Page 39 of 72 Jabki Tum Pratyaksh Ho Tumhe dekh bhar lene ki Chaah main Barson jagi hai yeh aankhain Ab jabki tum pratayksh ho Kyo reh-reh jhooki Jaati hai aankhain. Bahut tarse hai kaan yeh Swar tumhara sunane ko Ab jabki tum kuchh keh rahain ho Kyo bheetar man main hi Dhasi jaati hai aawajain. Vikal bhoojaye Niraalamb rahi nirantar Ab jabki avlamb hai Toh kyon Sheethil huyee jaati hai bahain Oongliyaa khojati rahi Jis sparsh ko Samne use pakar bhi Kyo todti hai ghasain. Seena soolagta rahaa Aanch jiski pane ko Kyon us aanch se Pighalee jaati hai saansain. Page 40 of 72 Kabhi kabhi Kabhi-kabhi Sochti hoo ki Tumhe bataoo Ki main tumse Kitna Pyaar karti hoo Lekin Kaise bataoo Kuchh mapak –yantra Hi nahi milte. Agar sambhav hota To tumhare viyog Main jo aansoo Bahaati hoo Unhe kisi Bakes main Kisi bank main Sahej rakhti. Yaa phir Kisi Pryogshaala se Unki satyata Ki hi jaach Karva deti. Main Yeh bhi Keh sakti hoon ki Tumhaare bina Man rota hai Sab udaas-udaas Shunyam Lagtaa hai. Lekin yeh Vigyaan toh Mahn ke Astitve ko hi Nahi swikaarta Phir man ki kyaa kahoon? Ek abhivyakti Page 41 of 72 Yeh bhi hai ki Tumhe devta kahoon Or kahoon ki Main tumhaari Aaradhnaa karti hoon Isme bhi Darti hoo Devtaa hokar Kahin tum mujhse Door na ho jaao. Par dar hataakar Tumhe Roop-aakaar Dena chaahti hoon. Tumhe raam kahoon.....? Phir tumhe Raavan se ladna hoga Mere liye.... Dhobi tak gheregaa tumhe. Dhobiyon se Tumhe Ghirvana nahi chahti Aachaa hoga ki Tumhe Raam hi na kahoon. Tab kyaa Krishan kahoon....? Krishan hokar Kans ke Drichakr main Apni gvalin ko Chod jaoge Achaa toh phir Isaa maseeh.. Nahi Sooli par Tangaa nahin Dekh sakti tumhe. Ab tumhi bataon Page 42 of 72 kaise yakin dilaoo tumhe pyaar kaa main tumhe pyaar karti hoo ab tumhe kyon bataoo tum jaankar kyaa karonge? Page 43 of 72 Agar kalam rahi hoti toh Ek pheslaa dekar Usne.... Tod bhi di kalam Shaayad vishvaas thaa Dobara.. Uski jaroorat na hogi. Lekin tum toh Nayaaydheesh nahi Niyantaa ho. Ek baar jo likh diyaa Use hi dhotain rahne ko Kyon vivesh kiya? Kyaa tumne bhi Apni.... Kalam tod daali? Sochanaa chaahiye Kabhi apne likhe main Hi pher-badal Karna padtaa hai. Galtiyaa... Agar sab karte hai Toh tumse hi na hoti ho Yeh toh sambhav nahi. Kabhi-kabhi tum bhi ................................ Ek baar dekar Badal saktain the... Phesalaa agar kalam rahi hoti toh? Page 44 of 72 Adrshaya Seene main uphaan Aankhon main jal liye Khojati hai Jis kandhain ko Bahain... Vah adrshaya hokar bhi Kitna Paas hi apne Lagta hai. Par jab-jab Drshayaa Paa jaata hai kaandhaa Stambh reh jaati hai Aankhain Kaanp uththaa hai Aankain Kaanp uththaa hai Seena Or main Swayam ko dhoondhne chal deti hoon. a Page 45 of 72 Raanton Ko Roj Raanton ko roj Chaand chalaa aataa hai Meri chat par Usme baatain karti hoon Khoob,khoob,khoob. Veh sab suntaa hai Badain dhairya se suntaa hai. Kehta kuch nahin Use kuch nahi kahna hota Bas sunana hotaa hai Soonkar khush hota hai Hansataa hai,muskaata hai. Phir laut jaata hai Phir aane ke liye. Kitna apna-sa hai Ekdam bhola Mera mitr hai. Nahin,mitr se bhi kuch adhik. Bahut adhik Shaayad sab kuchh. Lekin kabhi-kabhi Vah nahin aataa Choopchaap hi Bina kaaran bataaye Veh choopa reh jaata hai. Partiksha bahut Kashtkar ho jaati hai. Reh-reh man Veythit ho jaata hai Agli raat Phir chalaa aataa hai. Kal na aane ke liye Main naraz hoti hoon Veh so-so Bahaane banaata hai. Bheetar se Kuchh sweekarnaa Page 46 of 72 Nahi chaahti. Par sweekarti hoon Kyonki aane ke liye Use vivsh karti Yaa phir Choopne se poorv Kaaran bataane ke liye Baadhya karti Itna adhikaar Hi nahi hai mere paas. Chaand jitnaa mil paata hai Vahi mera hai Usi ka santosh hai. Page 47 of 72 Jhoolas Kaise bhoojhaa deti Maachise ki Tili ko? Usko low main Tum jhilmilaa Rahe the Mooskuraatain huye Meri oongliyaa Jhoolas jaane tak. Page 48 of 72 Makaan Se Ghar Khaali pade makaan ko Lagataa hi hai Ghoon or deemak Khandar banatain Use der nahi lagati. Ise khandar hone se Rok sakati hai Teri saanse or meri saanse. Hammari saanso ki garmi Majboot karegi deewaron ko Or vey baandh paayegi Hum dono ko Ek saath yahaan. Makaan yeh Ghar ho paayegaa tabhi. Page 49 of 72 Chehre Judaai ki Chunaouti ko Sweekaa thaa maine. Tumhaare baad Har pal se, har din se Veh sab dohanaa chaahaa Jo tumhaare rahtain Na doh payee thi. Aankhon ke samaksh Vaadon ki Phalak-chataane thee Isliye rok liyaa Har strote ko Boondain na bahne payee thi Phir ek baar Mehsoos kiya maine Ki mere tan ke Pratyek rom ne Umadkar Paa liyaa hai Ek cheharaa. Jaise mere poore Sharer par Ubhar aaye hai Karoro...arbo..kharbon...chahre. Har chehraa Aankhain moondain Mooh khoolkar Chilla-chillakar Pookaar rahaan hai tumhe. Tum aao Tum aao Bas ab or nahin Or nahi Rahaa jaataa. Dheere-dheere Loopat Page 50 of 72 Mook ho gayee Awaazain. Umdain-umdain Rom bhi Phir simatne Aa gaye. Kintoo Apne saath laaye Jal Shaayad un Cheharon ki aankhon ka Or Kuch peeda Jo cheetkaar Ke saath Un chehron ke Kanthon ne payee thi. Page 51 of 72 Keekar Or Aam Keekar or aam Main se choonav thaa Choonnewaale bhi Hum do hi thain. Tumne apne liye Keekar choontain huye Kahaan thaa. “ keekar kaa kasailaapan Tum na dhaaran Kar sakaogi.” Tab se Is satya ko Jaana hai Aam kaa meethapan Bhi Mujhe nahi soohaata. Kyon Tumne Keekar Lekar Mujhe baunaa kar diyaa? Kyon mujhe aam dekar Mere aam ka Swaad bhi Har liyaa? Page 52 of 72 Tumahaari Shabri Raam! Tumhaari shabri ki Kyaari main Ab utne phool nahi rahain Ki Har roj Barso baras Tumhaare maarg main Unhe sajaati rahoon. Phool Aaj baajaron main Bikatain hai Bahoot khoobsoorat Par unki khooshaboo Apni nahi Upar se chhidaki gayee hai. Kisne ropaa Nahi jaanti Koun choonkar laayaa Yeh bhi nahi pataa Usme se Yadi kuchh Mil sakain toh Yeh badboo hogi Dhan ki. Sach poochon raam Toh ab ghar bhi mera Vaisaa khoolaa or Shaant nahi rahaan. Ab simat gayee hoon Phelaiton main. Is phelaton ke Daainge room main Tumhaare Aathitayaa ke liye Bahoot-saa saamaan Jootaa liyaa hai Maine. Page 53 of 72 Abhi bhi Jootaa rahi hoon Nirantar. Isliye raam Aksar Taala lagaakar Baahar chali Jaati hoon. Kabhi tum aao To pleez Boora nahi maananaa Ek chithi likhkar Bheetar sarkaa denaa Ki main aayaa thaa Page 54 of 72 Man Pathar Mere Man pathar ko Hathodi-cheni se Tod-todkar Tum job hi roop Aakaar detain rahon Vah kuchh bhi hoga Par Shaaligraaam nahi. Page 55 of 72 Vishpaatr Mera yeh jeewan Toh yo hi ek Katoo haasay hai. Phir kyon tumne sochaa Ki maine vayangay kiyaa? Satya toh yeh hai Ki kuchh katootaaye Gholkar pila Di gayee hai Mujhe jabran. Jitanaa ugalanaa chaahti hoon Utnaa hi dhasti Jaati hai bheetar. Shiv ne saara vish Dhaaran kiyaa thaa Apne kanth ke bheetar Phir bhi vaani ki Sarsataa bani rahi. Lakin main shiv nahi Mujhse shivtav bhi nahi Darti hoon Yeh vish mujhe hi Nasht na kar daalain Isliye phir-phir Oogalti hoon. Par tumhaare sang Nahi baatna chaahaa thaa maine Anjaane hi sab hooa. Jo tumhe diyaa Veh vaapas maangati hoon. Ab kisi se naa baatoo Karoongi pryaas. Is vish se yadi Nasht hona hi hai Kisi ko Toh main hi koun hoon Booraa paatr. Page 56 of 72 Rassakasi Aksar Main bhool jaati hoon Ki main hoon. Kuchh vichaaron Kuchh maandandon Kuchh shabdo Main mujhe Dafnane ki Cheshthaa ki jaati hai jabran Yeh jaantain Huye bhi Ki main hoon Aksar Jab mujhe lagtaa hai Ki main nahi hoon Tab lagataa hai Ki Yeh sweekaar hai Is satya kaa Ki Is satya kaa Ki Sab kuchh Samaapat hai Sab kuch ko Nasht hona hai Kintoo Jab pryaas kise Jaatain hai Mujhse mujhe cheenane ke Tab mere Bheetar karvat letaa hai Ek sooshoopt sanskaar Or main Jaagkar kahti hoon Ki main hoon Mere is Hoone na hone ki Rassaakasi main Page 57 of 72 Bahut kuch jhartaa rahtaa hai Tootataa rahtaa hai Vidhvansho ke Dher par Bethkar Main phir Sochati hoon Ki Kyaa main hoon Agar main hoon Toh kyon hoon Agar main Na hoti Toh kyaan antar thaa Agar main hoon Toh bhi Kyaan vishesh hai? Page 58 of 72 Gahrain andhairain main Gahrain andherain main Khoti jaati hai Uski baahain. Veh jeena chaahtaa hai. Jeene ke Kuchh saamaan ke saath. Lahraakar Jhool gaye hai Havaa main uske khaali haath Soolagti aatmaa bhi.... Dhooaane lagi hai. Utar nahi milte Prashno ke.... Shor main hi kahin Kho jaati hai aawaajain. Din main ujalain chahrain Raat main kyon Itne bhyaavah dikhtain hai Hanstain huye unke honth Chamaktain daant Kyon manooshyataa ke Khoon se Rang se Rang dikhtain hai? Aankhain hai inki Jaise... Sab kuchh Jalaa dene ko aatur. Kaisa kasailaa yeh sach hai Ek saamaanaya sa Vyakati... Saamaanyaa si Ichhaao si jindagi Basar Nahi kar sakataa. In safedposho ke Choopain, teekhain panjo main Veh.. Page 59 of 72 Jakar diyaa jaataa hai Jabran. Page 60 of 72 Geelee Samidhaa Hoo Main Paani se bheegi Geelee samidhaa hoon main Tumhaarain hawan ki agni ko Tumhaarain hawan ki agni ko Paravjalit toh kyaa karoongi Jalati huyi agni jaroor Bujh jaayagi. Apne pavitra hawan ko Yon hi chalne do Mujhe phenk anyantr kahin Apne karm main agarsar rahon. Hawan toh kyaa Thand se thithooratain samay Jalte huye alaav main bhi Jo daal diyaa mujhe Toh dhooaa ban Aankhon main Aansoo si utar aaoongee Mere kaaran Apne chakshuo ko, Na pardooshit karo. Samidhaa na naam milaa Par maatr lakadi hone kaa bhi Garv nahi. Main nahi havishya Kisi hawan ki, Kisi alaav ki agni ki Paani main padi hoon Mere paani main galkar Nasht ho jaane main hi Tumhaari Niyati bhali hai. Page 61 of 72 Kitne Bhole Hai Hum bhi kitne bhole hai Vany ko dhoondhtain hai Ek-doosare ki Kavitaao main. Kabhi apne chehre Jhalakatain Dikh bhi jaatain hai Toh vishwaas Nahin kartain. Vishwaas Ho bhi jaaye Toh Nayaa bhay Utapan hota hai Agli kavita main Rahengain yaa nahi? Hum bhi Kitne bhole hai Bas kavitaao Main hi Swayam ko paakar Khush ho letain hai. Sach ki kadvahat Choopa letain hai Un moondi Palkon main Jo tahaako ke Saath milti hai Hum bhi Kitne bhole hai. Page 62 of 72 shoonay jis shoonay main rahti hoon, jeetee hoon veh bhartaa hi nahin. Baar-baar Pakadkar laati hoon Kuchh kadam Kuchh haath Kuchh aawaajain. Par sab Phisal jaataa hai Is shoonay ke Vakr se. Kabhi-kabhi Koi bindoo Tahraa saa lagtaa bhi hai. Par is thahraav Kaa bhram bhi khokhalaa Shoonay phir Shoonay hi rahtaa hai Apne shoonaypan Ke sataya ke saath. Page 63 of 72 Maadhon kyaa jaane Oolaahano se Maadhon dartain hai Par phir-phir Oolahane kaa kaam Kartain hai. Maadhon kyaa jaane Raadha ki peera. Vey toh kabhi Radhaa huye hi nahin Raadhaa bechaari Kabhi banati hai Maadhon or Kabhi phir Raadhaa ho jaati hai. Raadhaa se payee peeraa Maadhon se payee peer Dono ki peedaaye paa Radhaa swayam Peera ho jaati hai. Page 64 of 72 Dhoom Lakeer Naag ki tarah Phan phailaakar Vakraakaar apni Choker jamaakar Bheetar jo dhasaa baithaa thaa Varsho se Veh ateet Ab kyon Maatr ek dhoom-lakeer Hokar Baahar ko aanaa chaahataa hai? Jitney angina dank Bheetar lag chukain hai Kyaan vey sab Dhooaa ho Baahar ke Dhooye main mil sakainge? Naag ke jis bojh ko Jhelane kaa Aadi ho chukaa hai Yeh antar Kyaa veh khaali hi Goojar kar sakegaa? Yaa veh phir talaash karegaa Kisi naye bojh ki Naye roop main? Yeh nayaa bojh Avashyaa hi roophalaa hoga Hasi bikhartaa,khushi lootataa Saare jahaan ko Apne main samet Apna hi sabko banaataa. Page 65 of 72 Abhivayakti ki peera Abhivayakati ki peera Kisi karvat Chen nahi lene deti. Kisi baam se Kisi dawa se Peechhaa nahi chhodti Reh-reh pookaarti hai. Manushya main Kyaa aaturtaa hai Sab kuchh keh lene ki Sab prakat kar dene ki? Sab keh dene par bhi Lagtaa hai Kuchh reh gayaa ankahaan. Itnaa kuchh kehne ki Trishnaa kyon hai? Jo hai so hai Jo thaa so thaa Jo hoga so hoga Humaare kehne Na kehne se Kyaa hone walaa hai Shaayad keh lene se Man ko santosh mile Achhaa... Sab kahainge Shrotaa kahaan hai? Page 66 of 72 Bheetree gufaaon main Bheetree gugaaon main Bhataktain-bhataktain Ek navjyoti Mili hai. Kavitaa ab Shaant ho gayee hai. Veh baahar ko Aanaa chaahati hai. Nai umang Nai lehar Naye samvengo Ke saath. Page 67 of 72 Setoo Kaa Aabhaar Ek-doosare ke Aakarshan paash Se budhu ham Nadi ke do paat Chaltain... Toh hai Kintoo Samaantar. Apni-apni Seemao main bandhain Hum kitne Vivash se hai. Ek samaan tarangain hai Hum dono ke Bheetar. Uthti hai hilourain Pahoochti hai Idhar se udhar Hasati goongoonati Kisi ki Vednao se pare. Udaasin... Sab peedaon se. Yeh nishthoor Jab sawayam hi Chanchal hai Toh kisi ki Awashataa ko Kyaa samjhegi bhalaa? Parantoo yeh jo Setoo hai Achal gambheer Nitaanat akelaa Isse toh Ache hai hum Akele nahi Dhookele hai hum. Isne jodaa Ham dono k Page 68 of 72 Seemaaon ko. Ham rahain... Samaantar Beekhar nahi gaye Chanchal lehron ke Behkaavaye main. Page 69 of 72 Kaai Ki Chaadar Vishaal chaadar ki Har leher se Lipattain-umangtain Machhli saa Vahaa jaataa thaa jeevan. Yakaayak... Kyaa huaa ki Visimat se Tahar gayee thee lahrain Saagar jaise... Samet rahaa thaa Swayam ko.. Usee cheshthaa main Oodh lee Koi ki chaadar hari. Lekin har haraa rang Khushhaali nahi detaa. Bheetar ke jeev Tadapne lagain sabhi. Rang badalkar Chaadar ho gayee Syaah,sdhaad bhari. Moan darshak ban Naak par kapdaa dharain Sab goojar gaye Koi thehraa hota To shaayad.. Samjh paataa Isee sadee satah ke Bheetar bhi thaa Jeevan kabhi. Page 70 of 72 Meri baatee Tumhaarain Abhinandan ke liye Laankhon baatiyaa Ek saath jal uthee Shahar jagmagaa gayaa thaa. Tumharaa rath aayaa Aashish di Or Aage chal diyaa. Sab baatiyaa Shaant ho gayee Na jaane kyon Meri hi baati Timtimaati hai Abhi bhi. Page 71 of 72 Udaasi Ki Tapish Din bhar Oorjaa dekar Jyoti dekar Sham hone tak Kitnaa Nikat aa gayaa hai Sardi kaa surya. Lekin Iske chehrain par Oodaasi ki Tapish kyon hai? Itnaa Paas aakar Kyon Door jaane ki Maangataa hai surya. Sambhav hogaa? Kyaa Chale jaanaa Sachmuch Sambhav hoga? Kyaa tum jaa Rahe ho Surya? Apni jyoti se Humain Dipti karnewale Surya Kyaa yeh Satya hai Ki Tum jaa rahain ho? Page 72 of 72